Thursday, December 8, 2011

Toota jo dil to dukh hota hai,
Kar ke unse pyar dill rotha hai,
Dara ka ehsas hota hai usi ko,
Jo mohabbat pane ke baad khota hai…

Har khushi ghum ka elaan hai,
Har mulakat judai ka aalam hai,
Na rakhna kisi se ummeed ,
Har ummeed dil tutne ka farman hai…

Nazar se door rehne wale ne muje dilse door kardiya,
Kabi vaada kiya tha muje hamesha hasane ka,
Aaj usi ki yaadon ne mujhe rone k liye majboor kar diya…

Dilon ki daastan use kahan kubool thi,
Meri wafayein usjke liye fizool thi,
Koi ass nahi lekin itna bata do maine chaha thi
Use kya ye meri bhool thi ?

Is dil me uske liye itna pyar rahega,
Ke waqt bhi uska gawah rhaega,
Uska pyar shayad kisi aur ke nasseb me ho,
Par ye dil sirf uske yaadon ka haqdar rahega…

Khush hain wo hame yaad na karke,
Hans rahe hain wo hame ruswa karke,
Ye hansi unke honto se kabhi na jaye,
Khuda kare wo hamari maut par bhi muskuraye…



Dard

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya

lehje se uth rahatha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya

jane kya us ko logon sey thein shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…