Thursday, December 8, 2011

Dard

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya

lehje se uth rahatha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya

aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya

jane kya us ko logon sey thein shikayatein
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya

khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…



No comments:

Post a Comment